Tuesday, September 21, 2004

Vo Subah Kabbhi to Aayegi - By Sahir Ludhiyanvi

vo subah kabhii to aayegii

in kaalii sadiyo.n ke sar se jab raat kaa aa.Nchal dhalakegaa
jab dukh ke baadal pighale.nge jab sukh kaa saagar jhalakegaa
jab ambar jhuum ke naachegaa jab dharatii naGhme gaayegii

vo subah kabhii to aayegii

jis subah kii Khaatir jug jug se ham sab mar mar ke jiite hai.n
jis subah ke amrit kii dhun me.n ham zahar ke pyaale piite hai.n
in bhuukii pyaasii ruuho.n par ik din to karam farmaayegii

vo subah kabhii to aayegii

maanaa ke abhii tere mere aramaano.n kii qiimat kuchh bhii nahii.n
miTTii kaa bhii hai kuchh mol magar insaano.n kii qiimat kuchh bhii nahii.n
insaano.n kii izzat jab jhuuThe sikko.n me.n na tolii jaayegii

vo subah kabhii to aayegii

daulat ke liye jab aurat kii ismat ko naa bechaa jaayegaa
chaahat ko naa kuchalaa jaayegaa, izzat ko naa bechaa jaayegaa
apanii kaalii karatuuto.n par jab ye duniyaa sharmaayegii

vo subah kabhii to aayegii

biite.nge kabhii to din aaKhir ye bhuuk ke aur bekaarii ke
TuuTe.nge kabhii to but aaKhir daulat kii ijaaraadaarii ke
jab ek anokhii duniyaa kii buniyaad uThaaii jaayegii

vo subah kabhii to aayegii

majbuur bu.Dhaapaa jab suunii raaho.n kii dhuul na pha.Nkegaa
maasuum la.Dakapan jab ga.ndii galiyo.n me.n bhiik na maa.Ngegaa
haq maa.Ngane waalo.n ko jis din sulii na dikhaaii jaayegii

vo subah kabhii to aayegii

faaaqo.n kii chitaao.n par jis din insaa.N na jalaaye jaaye.nge
siine ke dahakate dozakh me.n aramaa.N na jalaaye jaaye.nge
ye narak se bhii ga.ndii duniyaa, jab swarg banaaii jaayegii

vo subah kabhii to aayegii

jis subah kii Khaatir jug jug se ham sab mar mar ke jiite hai.n
jis subah ke amrit kii dhun me.n ham zahar ke pyaale piite hai.n
vo subah na aaye aaj magar, vo subah kabhii to aayegii

vo subah kabhii to aayegii

0 Comments:

Post a Comment

<< Home